Urdu Musha'era/ Hindi Kavi Sammelan
On the theme of Pluralism on June 29, 2013
On the theme of Pluralism on June 29, 2013
Richardson, Civic Center
Poet: Shah Alam Siddiqi
POEM
Dil Main Jo Dard Hay InsaN Ka Chupate KioN Ho
Man MaiN Jo Nek Lagan Hay Woh
Dabate KioN Ho
Aik Insan HoN Main, Aur Khuda
Ka Banda
Mujh se KioN Ber Hay, NazroN
Se Girate KioN Ho
MaslakoN FirqoN Main KioN Bant
Rakha Hay Khud Ko
Apne QuraN ki Hidayat Ko
Bhulate KioN Ho
Mujh Ko InsaN Se Sarokar Hay
Mazhab Se NahiN
Deen Ke Naam Pe Aik Hashr
Uthate KioN Ho
Pandito, Rahibo, Mullao Meri
Baat Suno
Ibne Adam HaiN Sabhi Farq
Jatate KioN Ho
Hamne Diwaar Muhabbat Ki Chuni
Hay Bari Mushkil Se
Mere Logo Ese Nafrat Se Girate
KioN Ho
Har Taraf Roshni Bikhri Hay
Muhabbat Ki ASAR
Amn Ki Asha Hay Ye, Iss Ko
Bujhate KioN Ho
No comments:
Post a Comment